27/07/2026
20 July ko Jantar Mantar ke protest ke dauran jab police lathi-charge hua, to kai students—jinmein ladkiyan aur bachche bhi shamil the—suraksha ke liye Hanuman Mandir ki taraf gaye. Aisa kaha gaya ki mandir ke darwaze band kar diye gaye aur unhe andar sharan nahi di gayi.
Is baat ke liye Bhagwan ko badnaam karna galat hai. Agar kisi vyakti ya prabandhan ne aisa faisla liya, to zimmedari unki hai, Bhagwan ki nahi.
Aaj jab mushkil waqt aata hai to log Bhagwan ka sahara lete hain. Agar us din dare hue bachchon aur ladkiyon ko insaniyat ke naate panah mil jaati, to shayad ek behtar misaal qaim hoti. Kanjak Pujan ki bhavna ka hi maan rakh liya jaata.