29/08/2026
Kahani Ka Naam: Facebook Wali Behne Aur Khoon Ka Bhai
Ek chote se gaon me do bhai rehte the - Chhota bhai Mohan aur Bada bhai Sohan.
Mohan dil ka saaf tha, bhale hi jeb se halka tha. Facebook par uski kuch muh-boli behene ban gayi thi. Wo usko "Bhaiya, Bhaiya" kehti, rakhi ke din usko tag karti. Mohan ne bhi kabhi farz me kami nahi rakhi. Har dukh-sukh me khada raha.
Ek din Mohan ne socha, rishte badhane chahiye. Usne apni Facebook wali beheno ko apne bade bhai Sohan se milwaya. Sohan sheher me rehta tha, paisa wala tha, bada ghar, gaadi, naukar-chakar.
Bas, yahin se kahani badal gayi.
Behene jo kal tak Mohan ko "Mera pyaara bhai" kehti thi, dheere-dheere Sohan ke taraf khisakne lagi. Sohan ke paise ki chamak me unhe apna asli bhai bhool gaya. Ab unki post par Sohan ko tag kiya jata, uske birthday par lambi-lambi shayariya likhi jati.
Mohan ne pucha bhi, "Behen, kya hua?"
Jawab mila, "Bhabhi ne bataya tha tumhare baare me..."
Mohan samajh gaya. Sohan ki patni ko Mohan ki sach bolne ki aadat pasand nahi thi. Usne peeth peeche aisi baatein banayi ki beheno ke kaan bhar gaye. Aur Sohan? Wo to biwi ka gulaam ban chuka tha. Maa-Baap gaon me akela rehte, bimar rehte, par Sohan ko fursat nahi thi. Paisa tha, par sanskar nahi the.
Ek din gaon me Maa bahut bimar padi. Mohan ne Sohan ko phone kiya, Facebook wali beheno ko message kiya. Kisi ne phone nahi uthaya. Sab Sohan ke naye ghar ki party ki photo par "Nice Family Bhaiya" comment kar rahe the.
Mohan akela Maa ke pair dabata raha raat bhar.
Us raat usko samajh aaya -
Facebook ka rishta tab tak hai jab tak aap kaam ke ho. Aur khoon ka rishta bhi tab tak khoon ka hai jab tak usme sanskar ho. Jo bhai apne Maa-Baap ko bhool jaye, jo behen paise dekh ke bhai badal le, aise rishte ka bojh uthane se behtar hai akele chalna.
Aaj Mohan akela hai, par sukoon me hai. Uske paas koi Facebook wali behen nahi, koi matlabi bhai nahi. Bas uske Maa-Baap ka aashirwad hai, jo ab usi ke saath rehte hain.